சனி, 25 மார்ச், 2017

இசையும் நானும் (166)HINDI Film -Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai


இசையும் நானும் (166)HINDI Film 

song-Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai

Bollywood song Kabhi Kabhi Mere Dil Mein from movie 

Hindi Music composed by 

Lyrics written by 

Bollywood song sung by , 

kabhi kabhie mere dil mein માટે છબી પરિણામ
--MALE--
Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai

--FEMALE--
Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Ke jaise tujhko banaaya gaya hai mere liye - 2
Tu ab se pehle sitaaron mein bas rahi thi kahin - 2
Tujhe zameen pe bulaaya gaya hai mere liye - 2
Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Ke yeh badan yeh nigaahen meri amaanat hai - 2
Yeh gesuon ki ghani chhaaon hai meri khaatir
Yeh hont aur yeh baahein meri amaanat hai - 2
Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Ke jaise bajti hai shehnaaiyaan si raahon mein - 2

--MALE--
Suhaag raat hai, ghoonghat utha raha hoon main

--FEMALE--
Suhaag raat hai, ghoonghat utha raha hoon main
Simat rahi hai tu sharmaake apni baahon mein - 2
Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Ke jaise tu mujhe chaahegi umr bhar yunhi
Uthegi meri taraf pyaar ki nazar yunhi

--MALE--
Main jaanta hoon ke tu gair hai magar yunhi - 2
Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai

--FEMALE--
Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai

கருத்துகள் இல்லை:

கருத்துரையிடுக